Thursday, March 17, 2011


Ek parinda tha aur parindon ke jaisa,

unhi ke jaisa par fir bhi unse juda....

par to the, par kabhi ud na saka....

Fir ek din achanak....hua ek chamatkar..

mano ek pal mein ulat gaya sansar...

par fadke uske...mann mein ek naya vishwas...

ek baar udne ki chah aur azadi ki aas,,

fadfadae usne par apne,, kooda hava mein ek baar...

bas fir kya tha,,uday hua suraj jaise aur dil mein 1 naya qaraar..

Udta raha asmaan mein,,,hava ka vo dusra naam..

Jo nahi socha tha sapne mien kabhi...

Karta tha haqeeqat mein vahi subah sham...

Par panchi ho ya suraj....doob jata hai...

Aakhir thak ke vaapis dharti par hi aata hai...

1 baar uda,,,,suraj ko chooma...

Saare aakash mein firta vo ghooma...

Par kal ka kisko hai pata...

Fir vahi suraj ugega ya nahi...

Jo chaha hai vo milega ya nahi...

Aaj ka to pata hai, kal suraj ugega bhi ya nahi....?

Ek parinda tha..aur parindon jaisa...

Aur paridon jaisa par fir bhi juda...